Saturday 4 July 2015

Zaroorat Padey, Toh.

Sochta hoon zaroorat na padey.
Thoda teri baahon ki chaadar odhey rehna chaahta hoon.
Gardan par saanson ki dastak,
Kaanon per teri zulfon ki sarsaraahatt,
Teri ungliyon to mere hontho ka raasta naapney dena chaahta hoon.
Aankhein main phir bhi na kholoonga,
Tujhe makhmal ke bistar per pighaltey dekhna chaahta hoon.
Shabd na koi, lekin teri shaitaan hansi,
Teri dabi hansi mein teri sharaarat,
Tere chulbuleypann se teri naraazgi tak,
Teri masoom aah mein simatnaa chaahta hoon.
Aankhein main phir bhi na kholoonga,
Zaroorat padey, toh pukaar lena.
Zaroorat padey, toh jagaa dena.


Sunday 22 March 2015

Bech De.


Zindagi bhaari, bhaar bech de,
lambi kahaani, tu saar bech de.
Chubhti yaadein, dhaar bech de,
jashn hai mandaa, tyohaar bech de.
Dukaan bandd, ishtehaar bech de,
noton ki gaddi, tu yaar bech de.
Chikna farash, dhool bech de,
har raat ki meri, bhool bech de.
Banjar hai nabz, laal bech de,
sookhi aankhein, roomaal bech de.
Suntey hain sab, baat bech de,
din dhalney se pehley, raat bech de.
Biktaa hai kaafi, pyaar bech de,
mohabbatt ka kabaadi, bazaar bech de.