Tuesday 26 June 2012

Suyodhan Hoon Main


Duryodhan nahin
Suyodhan hoon main.
Suyodhan hee thaa,
Suyodhan hee rahoonga main.

Maine kapat kiya?
Kapati toh woh thaa,
jisey tumne bhagwaan banaa diya.
Main toh sirf ladaa thaa,
ladaa thaa apne haq ke liye
jo tumhaara bhagwaan chheen gaya mujhse.
Galti sirf itni ho gayi,
main haar gaya.

Likhoonga phir ek Mahabhaarat nayi.
Iss baar, koi naqaab na hoga.
Iss baar, koi ilzaam na hoga.
Iss baar, koi bhagwaan na hoga.
Phir likhi jaaegi, ek kahaani,
iss baar, 'khalnaayak' ki zubaani.

Duryodhan nahin
Suyodhan hoon main.
Suyodhan hee thaa,
Suyodhan hee rahoonga main.
---------------------------------------
-Prateek
26/6/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Saturday 16 June 2012

Cycle


Bin zameen par paanv rakhe,
ek din humney, duniya dekhi thee.
Cycle badi thee lekin,
paanv zaraa chhote reh gaye they.
Ab ek baar jo badi cycle uthaa lee,
chhoti sawaari per jaane ka,
mann kisey thaa.
Paanv zameen per na rakhne ki zidd mein,
kharochein khaa le thee ghutnoon ne.
Har kharonch ke aaj bhi gawaah hain woh galee kooche,
cycle per chadker jinpe, fatah paar ki thee humney.
Bin zameen par paanv rakhe,
ek din humney, duniya dekhi thee.
-------------------------------------
-Prateek
16/6/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Sunday 10 June 2012

Taalaab Kinaare...


Bachpan ki baat hai.
Taalaab kinaare jab hum,
paani mein woh chikne patthar phainka karte they.
Aur ginte they, kitni baar woh patthar,
soye hue uss taalaab ko jagaaega.
Kai saalon ke baad,
ehsaas hua achaanak.
Taalaab ko kabhie jhakjhor kar rakh dene waala patthar
aaj kahin shaant baitha hoga
uss taalaab ki gehraaiyon ke sannate mein.
----------------------------------------------
-Prateek
10/6/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic