Tuesday 27 December 2011

Kenchua (Earthworm)


Ek kenchua
bilkul anjaan
duniyaa ke
reeti riwaazon se,
duniyawaalon ki
rozmarra ki
bematlab ki
bhaagdaud se,
reng raha hai
apni hee dhun mein,
naapta hua
kai gaon
kai kasbe
kai sheher.

Arey ye kya?
Kenchue ne
naap liya hai
poora desh!
Media waalon ka
taantaa laga hua hai.
Doorbeen ka focus
chaubees ghante
uske ghar per laga hai.
Aaj kenchua
badi hasti bann-ne waala hai.

Lekin kenchua
bilkul anjaan
duniya mein mili
apni nai pehchaan se,
darr kar
saham kar
dubka hua baitha hai
apne teen foot gehre ghar mein.
Darta hai
kisi ke
jooton ke neeche
na aa jaaye.
--------------------------------
-Prateek
27/12/2011
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Sunday 25 December 2011

Out of My Deeper Heart


Uss din
dil ke kisi
gehre chhipe kone se
ek chidiya nikli
aur udi
khule aasmaan ki taraf.
Jitna ooncha woh udti
utni hee badi hoti jaati
mere dil se nikli
woh chidiya.

Shuru mein
chhoti maina si chidiya
badi hui
ek cheel mein
Phir bani woh
ek baadal
khwaab ka
Aur phir
sajaa diya aakaash usne
banke sooraj
mere dil se nikli
aag ka.

Aaj wohi sooraj
mere aansuon ko
bhaap bana deta hai.
Aur log kehte hain
saale ko dekho
rona bhi nahin aata hai.
---------------------------
-Prateek
25/12/2011
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Thursday 22 December 2011

Free Falling


Eyes closed
smiling, at peace
with you in my eyes
arms wide open
ready to break my fall
I'm falling.
Free falling.

I open my eyes
Saved by a trampoline.
Now I rise
and fall.
And rise again
and fall, again.

I see the light
as I rise.
I see the darkness
as I fall.
I see the universe
but you.
I'm falling.
Free falling.

Tuesday 20 December 2011

Ek Nrityaangna (The Dancer)


Duur kisi registaan mein
jashn se saraabor
raajmahal mein
apne poore shabaab per
jhoom rahi thee
ek nrityaangna.

Usne kiya nritya
aag ka.
Usne kiya nritya
barchhe, kapaal
aur talwaar ka.
Kiya usne nritya
dharti aakaash ka.
Jhoomti hui
madmast hawaa si
kiya usne nritya
phoolon ka
bhanwron ka
sitaar ka.

Sharaab
raja ke gale se
utar na saki
aisa thaa shabaab
uss nrityaangna ka.
Woh naach
jismaani nahin.
Woh nritya thaa
uski rooh ka.

Rooh.
Jo basti hai mastishk mein
ek gyaani ke.
Rooh.
Jo basti hai dil mein
ek haare hue kavi ke.
Rooh.
Jo basti hai gale mein
ek gaayak ke.
Wohi rooh
apne jism per odh kar
jhoom rahi thee
ek nrityaangna.
-------------------------
-Prateek
20/12/2011
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Saturday 17 December 2011

Baadalon Per Aashiyaana


Log kehte hain
ki agar tum
duur gagan mein
kisi baadal per baith jaao
aur neeche dekho
toh nahin dikhaayi dengi tumhein
sarhadein
do deshon ke beech
do dilon ke beech.

Bus
takleef isi baat ki hai
ki baadalon per
aashiyaana banana
zara mushkil hai.
--------------------------
-Prateek
17/12/2011

Aasmaan Bhi Tumhaara Janmdin Manaaega


Uss raat
jab ghar mein tumhaare
jashn ka sa maahaul hoga.
Jab kat raha hoga cake
aur bat rahi hongi mithaaiyan.
Jab haath mein gubbaare liye
bhaag rahe honge
chhote chhote se woh ood-bilaav.
Jab har badey ke moonh se
nikal rahi hongi
tumhaare liye
dher saari duaaein
Uss raat....

Uss raat
pal bhar ke liye hee sahi
tum ghar ki chatt par aana,
ya khidki se jhaankna,
aur sar ooncha karke
nihaarna
uss khule aasmaan ko.

Chaand ka woh ek
bada sa gubbaara,
Tim tim karte
chamakte hue
khushi se itthlaate woh taare,
Aur chaaron ore phaila hua aakaash
aseemit
bilkul tumhaare iraadon ki tarah
mana raha hoga
kuchh apne hee andaaz mein
tumhaara janmdin.

Usi pal
uss andhere mein
tum aankhein band karna
Tumhaari aankhon mein
ek chhota sa sooraj
chhipa baitha milega.
Jo dega tumhein
kuchh kar guzar jaane ki aag.
Usi aag se
tum aagaaz karna
zindagi ke ek naye padaav ka.

Ab jao,
neeche tumhaare chaahne waale
tumhaara intezaar kar rahe honge.

Happy b'day, Maahi.
https://twitter.com/#!/Maahi_Ve
----------------------------
-Prateek
18/12/2011
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Wednesday 14 December 2011

Safed Kaagaz Ka Tukda



Barf sa safed
woh kaagaz ka tukda
kehta hai
"Safed hee main bana thaa.
Safed hee main rahoonga.
Main jalkar
safed raakh mein badal jaana
behtar samjhoonga,
lekin kisi kaali syaahi ke daag ko
apne oopar lagne bhi nahin doonga.
Main hamesha
shuddh rahoonga"

Paas hee rakhi
kaali syaahi ki dawaat
hans rahi hai
apne poore kaale dil se.
"Main naa jaaungi
iss ghamandee ke paas."

Aur iss tarah
barf sa safed
woh kaagaz ka tukda
zindagi bhar ke liye
shuddh hee reh gaya.
Aur syaahi ke liye
bin kahaani ka
sirf ek kora kaagaz.
-------------------------------
-Prateek
14/12/2011
https://twitter.com/#!/Scotchaholic
*based on a short story by Kahlil Gibran



Tuesday 13 December 2011

Delusion?


Ek din
achaanak se
aankh kehti hai
"Doston!"
Mujhe dikh rahi hai
ek sundar ghaati.
Oonche oonche pahaad
rang-birange phool
kalkal karta behta paani
chahakti machalti hui chidiya
aur vishal neela ambar.
Kitna khoobsurat nazaara hai!"

Kaan
sab sunta hai.
aur kehta hai
"Kahaan hai chidiya?
Mujhe toh nahin sunai de rahi
koi chahakne ki aawaaz!"

Haath bola
"Kahaan hai paani?
Kahaan hai pahaad?
Meri pakad mein toh
kuchh nahin aa raha!"

Naak kehti hai
"Kahaan hain phool?
Mujhe toh koi khushboo nahin aa rahi!"

Sab sunkar
aankh
leti hai ek thandi aah
aur kho jaati hai
nihaarne mein
uss addbhut nazaare ko.

Aur yahaan
kaan, haath aur naak
aapas mein budbuda rahe hain
"Raat ko zyada
pee lee lagta hai."
-------------------------------
*based on a short story by Kahlil Gibran


- Prateek
13/12/2011
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Thursday 8 December 2011

Sab Saale Andhey


Tera maulvi bhi
utnaa hee insaan hai
jitnaa tera pandit.
Aur jitne tum
aur main.

Dharm ki patti
aankhon per baandhe
sab ke sab
saale andhey.

Farq bus itna hai
kisi kisi ka andhaapan
kuchh zyada gehra hai.
Lekin aakhir mein hain
sab ke sab
saale andhey.
------------------------
-Prateek
8/12/2011
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Monday 5 December 2011

Railgaadi


Aakhri baar kab
railgaadi ki ticket aane per
jhoom uthey they tum?
Arsa ho gaya na?
Ab toh chehre per ek
ajeeb si muskaan aati hai
haathon mein jab
flight ki ticket aa jaati hai.

Aakhri baar kab
khilaunon ki dukaan per
tumne zidd ki thee
ek toy train lene ki?
Arsa ho gaya na?
Ab toh chehre per ek
ajeeb si muskaan aati hai
haathon mein jab bachchon ke
ek video game thamaa dee jaati hai.

Aakhri baar kab
gaon ke ek mele mein
bhaag kar tumne line lagaai thee
chhook chhook gaadi wale jhoole mein
sirf ek ya do chakkar kaatne ke liye?
Arsa ho gaya na?
Ab toh chehre per ek
ajeeb si muskaan aa jaati hai
haathon mein jab khud ke
BMW ki steering aa jaati hai.

Aakhri baar kab....
Arey baap re.
Baaton mein aapsey 
itne mashgool ho gaye
ki flight miss hee kar dete.
Achha, alvida.
-----------------------------
-Prateek
5/12/2011


Tuesday 29 November 2011

Times Have Changed



Pinjare mein bandd sapne
bejaar ho gaye. 
Khwaabon per lagaam aisi kasi
ki haqeekat ka dum 
ghutne laga.


Aankh khuli
toh din mein bhi andhera thaa.
Sooraj bhi sharma ke
chaand sa hone laga.


Meelon ki raftaar se 
badhta toofaan bhi
tann ko halka sa chhoo gaya.
Laal aankhon wala 
woh kutta bhi aaj
mujhe dekhkar
dumm hilaane laga.
---------------------------
-Prateek
29/11/2011
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Sunday 27 November 2011

Sab Bazaar Hai


Ye kahaani hai
uss kisaan ki
jiske paas tha
ek anaar ka ped
vishal.
Pattjhad ki har shaam
woh apne khet ki chaukhat per
rakh deta thaa
dus anaar.
Aur chhod jaata tha
ek sandesa
"Ek anaar, Meri taraf se,
aapke liye, muft"

Aate jaate log
anaar dekhte
sandesa padhte
aur muskuraate hue
chale jaate.
Aur kisaan har raat
apni chaukhat per aata
dekhne ke liye
kisi ne ek bhi anaar
nahin uthaaya.

Agli shaam
uss chaukhat per
nahin rakhe kisaan ne
woh dus anaar.
Lekin chhod gaya thaa
ek naya sandesa.
"Yahaan milte hain
duniye ke sabse raseele anaar
jinki keemat jaan-ne ko
hain Raja sa'ab bhi beqaraar"

Aur usi din se
chaukhat per lagi hai bheed
haath mein sone ke sikke liye
anaar khareedne waalon ki.
------------------------------
*Based on a short story by Kahlil Gibran

-Prateek
27/11/2011
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Saturday 26 November 2011

Faasle Badhte Gaye


Itne saalon baad
kuchh ajeeb sa lag raha hai.
Raat ko sone se pehle
tumhaara jo khayal aata thaa
uss ki jagah
ab meeting schedule ne
le lee hai.
Tumhein dekh kar
jo dhadkanein
pal bhar ke liye
ruk jaati theen
woh cheez ab kahin
kho see gayi hai.

Woh jaanti thee.
Mere baalon ko
apni ungliyon se sehlaake
bolti hai,
Kuchh faisle
lene honge.
Thoda faasla
badhaana hoga.
Dena hoga
khud ko samay.
Karaana hoga
ek doosre ko
thoda sa
intezaar.

Har faisle ke saath
faasle badhte gaye.
Aur main
wahin khada raha
tere intezaar mein.
Aaj bhi intezaar
jaari hai.
----------------------
-Prateek
26/11/2011
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Friday 25 November 2011

Chaanta Pada Hai


"Arey!
News dekhi?"
"Kya dekhna yaar.
Wohi roz ki kahaani hogi.
Kashmir mein itne mar gaye.
Ek aur Arab desh ka
takhta palat gaya.
Kisi bilakhti vidhva se
reporter poochh raha hoga
kaisa mehsoos kar rahi hain aap!
Iss se achha hai
chatt per jaakar
taare ginn-ne baith jaaun."

"Arey nahin!
Badi khabar hai.
Ek aam aadmi ne kal
kisi bade neta ko
bhari bheed mein
chaanta maara!
Dude!
Main toh fan ho gaya uska.
Kya sahi kaam kiya usney."

"Fan ho gaye?
Kal jab
court mein le jaate waqt
raste mein hee
goliyon se bhoon diya jaayega woh,
tab kya karoge tum?

Kal jab
beech baazar mein
sabji khareedte waqt
uski behen ka
rape kar diya jaayega,
tab kya karoge tum?

Kal jab
paas ke hee gali mein
school se aate waqt
uske bete ko
agwaah kar liya jaayega,
tab kya karoge tum?

Kal jab
aane waale elections mein
vote karte waqt
tumhein yaad aayega
uss neta ke diye hue vaade
aur saath hee sharaab ki ek botal
jo uske party waalon ne
tumhein dee thee,
tab kya karoge tum?"

Aur gehre sannatte ke beech
uss aam aadmi ka woh fan
kehta hai
"Arey!
News dekhi?
Sachin phir se chook gaya
apne shatak se."
------------------------------
-Prateek
25/11/2011


https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Thursday 24 November 2011

If There Were No Yesterday


Agar kal na hota....
Toh har woh sar
jo maare zillatt ke
jhuka hua hai,
aaj, aasmaan ki ore
utha hota.
Jo aankhein
maare sharam ke
jhuki hui si
kuchh nam si hain,
aaj, sooraj ko
taak rahin hoti.

Agar kal na hota....
subah uth-te hee
na kisi ki yaad sataati
na kisi ka khauf
dil mein hota.
Na pichhlee raat ke nashe se
sar mein dard hota,
aur na hee hota dard, dil mein
pichhli shaam ki
uss bekaar ki behes ko lekar.

Agar kal na hota....
na saath hoti teri yaari,
na saath hoti bewafaai
uss jhoothe yaar ki.
Na hota kisi ko khone ka darr,
na nibhaani padti kasmein
uss jhoothe pyaar ki.

Agar kal na hota
har din, ek naya din hota.
Aur har din hota
ek naya
main.
--------------------------
-Prateek
24/11/2011


https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Saturday 19 November 2011

The Sun and The Moon


Har roz
jahaan samandar aur dharti
aapas mein meilte hain.
Jab na din khatm hota hai
na raat shuru hoti hai
uss waqt
insaanon ki nazron se bachte hue
milte hain
sooraj aur chaand
rozaana
aur karte hain kuchh guft-goo
jo aaj bhi
aam aadmi ki samajh se
koson duur parey hai.

"You know what Moon?
Chadhte sooraj ko sab pranaam karte hain.
Dhalte sooraj ko sab nihaarte hain.
Rockstar kehte hain ye mujhe.
Hazaaron khoobsoorat suryamukhi aur kaliyaan
mud mud ke mujhe taakti hain.
Achha lagta hai.
Lekin jab bhi main
apne fans se milne ki koshish ki,
jhulsa deta hoon sab ko.
Jal jaati hain
mujhe nihaarne waali woh aankhein.
Dekh rahe ho tum
kaise bheed mein bhi
akela sa hoon main?"

"Kya baat keh di sir aapne."
Chaand bola
"Aur ek taraf main hoon.
Jalta hoon aapki fan following se.
Uss din toh do insaanon ko
ghar per bhi bulaaya thaa.
Jaane kyun
waapis aaye hee nahin!

Har raat koshish karta hoon
andhiyaare ka sooraj ban-ne ki.
Lekin jitna zyada main chamakta hoon
utni hee inn logon ki parchhaai
kaali pad jaati hai.
Dekha aapne,
Koi kadr hee nahin hai."

"Ah, samay ho gaya.
Jaao chaand.
Ban jao raat ka sooraj.
Chhat per baitha koi aashique
tumhaari raah dekhta hoga.
Tumhaare aaine mein
apni priya ka aks
dhoondne ke liye."
--------------------------------
-Prateek
19/11/2011


https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Thursday 17 November 2011

It's A Girl!


Special thanks to Vitasta (@Baavri), for narrating this poem in her super sexy voice.
http://soundcloud.com/baavri/its-a-girl-scotchaholic# 

--------------------------------------------------------------------------------

Bambai mahaanagri mein
chaupati ke paas
ek badaa sa bungla hai.
"Yahaan maha-naayak rehte hain."
"The superstars live here."
"Ee hamaar Allahabad wale bhaiyya ka ghar hai."
Samajh nahin aaya
kiska ghar hai.

Khair chhodo.
Iss waqt
uss ghar ke saamne
ek mela sa laga hua hai.
Kam umar ki khoobsurat ladkiyaan
idhar udhar daud rahi hain
haath mein mike liye.
Aur peechhe peeche unke
daud rahe hain kuchh langoor
kandhe per bada sa camera liye.

"Breaking News!"
"It's a girl!"
"Ladki hui hai!"
Itni khushi?
Lagta hai ye sab
uss ladki ke rishtedaar hain.
Bada parivaar lagta hai.

Arey haan
Baaton baaton mein
poochhna hee bhool gaya.
Toh iss maheene Haryana mein
kul kitne bhroon-hatya ke case aaye?
Do sau baarah?
Ladkiyaan thee sab?
Achha.
------------------------------
-Prateek
17/11/2011

Wednesday 16 November 2011

Inquiry Hogi


Baaju waale flat mein
rehta hai ek chhota sa parivaar
kisi Raajput police waale ka.
Jis ghar mein hamesha
rehti thee chahal pahal
aaj kuchh zyada hee khaamosh hai.

Hua yunh
ki thaane jaate waqt
uss policewaale ki bike se
koi takraa jaata hai.
Bechaare per
laaparwaahi ka ilzaam
lag jaata hai.

Commisioner
akad kar uss-se kehta hai
"Kya isiliye sarkaar tumhein bike deti hai?
Poore police department ki naak katwa di."
Aur chheen liye uss se
uske saare medal.
"Inquiry hogi.
Committee bithai jaaegi.
Tab tak ke liye
tumhein chhutti dee jaati hai."
    -----------------

Gali ke aakhri end per
rehta hai ek badaa sa parivaar
ek dalit neta ka.
Jis ghar mein hamesha
rehti thee netaaon ki chahal pahal
aaj media ke bhediyon se ghira hai.

Hua yunh
ki ward ki sadak banaane ke liye
jo dus laakh neta ko diye
usmein se aath laakh
hazam kar jaata hai
desh ka woh chor.
Saale per
chori ka ilzaam
lag jaata hai.

Neta
akad kar commissioner se kehta hai
"Kya isisliye sarkaar ne tumhein wardi dee hai?
Mujhe baahar nikaalo iss jhanjhat se."
Aur thamadiye uske haath mein
noton ki ek gaddi.
"Inquiry karaao.
Committee bithaao.
Lekin mujhe iss jhamele se bachaao.
Warna agle din se hee
tumhaari chhutti."
-------------------------------------
-Prateek
16/11/2011 

Tuesday 15 November 2011

Khud Ko Bhula Baithe


Teri andheri zulfon ki chamak mein
hum khud ka sooraj 
bhula baithe. 
Ab in neeli aankhon ki gehraaiyon mein
zara doob jaane do.


Tere hothon ka rass peekar
hum apna jaam
bhula baithe.
Ab in neeli aankhon ke nashe mein
zara behek jaane do. 
----------------------------
-Prateek
15/11/2011

Monday 14 November 2011

Bachpanaa (बचपना)


Uss din hua kuchh yun
office se ghar ko jaate hue
koi riksha na mila.
"Sahab.
Aage school chhoota hai.
Koi function thaa aaj.
Road per jaam hai."

"Kambakhath bachche!"
Aur budbudaate hue
pakad lee maine
sadak per raftaar.
Saamne dekhta hoon
sadak per
bachchon ka ek mela sa laga hai.
Koi Ram, koi Aishwarya
toh koi neta bana hai.
"Fancy dress competition."
Arey inke maa baap kahaan hai?
Sambhaal nahin sakte
inn oot baagad-billon ko!?

Aur itne mein hee
ek nanhi si bachchi 
mujhse takraai.
"Arey! Paagal ho kya!"
"Shorry unkle."
Woh masoom si aawaaz
kaafi kuchh keh gayi.
Uski woh badi badi aankhein
kaafi kuchh dikhaa gayin.
Dil maano jaise mome sa ho gaya.

Yakeen nahin hota.
Aaj bhi koi kaise 
itna maasoom ho sakta hai?
Na mann mein koi chhal
na kisi ke liye koi dvesh.
Kab tak aise reh paayenge?

Shayad isiliye 
isko bachpana kehte hain.
Aaj ki duniya mein
phir se masoomiyatt ki baat karenge
toh bachpana hee toh keh laayega.
-------------------------------------
-Prateek
14/11/2011



Sunday 13 November 2011

Kharonchein (खरोंचें)


Sayaane naqaabon ki 
iss bheed mein
khud ka chehra bhi
anjaana sa lagta hai.

Noch noch ke 
naqaab nikaalne ki chaah mein
chehre per aa gayin
kai kharonchein.
Aur chhod gaya waqt 
chehre pe apne nishaan.

Ye muskuraahat meri na sahi
udhaar kee hai.
Per in kharonchon mein chhupi kahaani
meri hee hai.
-----------------------------------------
-Prateek
13/11/2011

Friday 11 November 2011

Aaj Chaand Dekha?

Bachpan mein kai baar suna hoga, naani ya daadi ke munh se, unki kahaaniyon mein, ki duur se chaand dekho, toh ek khargosh dikhega. Ya ek budhiya dikehgi jo charka chalaa rahi hai. Aaj ki poem ne naani daadi ke unhi kisse kahaaniyon se kuchh elements udhaar liye hain.
-------------------------------------------------

Aaj chaand dekha?
Haan.
Kya dikha?
Budhiya charkha kaat rahi hai.
Aur?
Aur koshish kar rahi hai
rishton ke toote dhaagon ko jodne ki.
Shayad unmein se ek dhaaga
uske uss ladke ka hai
jo pardes chala gaya
na kabhi waapis aane ke liye.
Aur yahaan yeh budhiya
har gaanth ke saath
uske waapis aane kee aas
kho deti hai.


Aaj chaand dekha?
Haan.
Kya dikha?
Khargosh.
Aur?
Aur uski muskuraahat.
Kuchh ajeeb see hai lekin aaj.
Woh masoomiyatt gayab see lagti hai.
Shayad ooper se insaanon ki harkatein
kuchh zyada hee der tak
dekh lee hai isney.
Aur har harkat ke saath
kho deta hai woh
apni pyaari muskaan.

Aaj chaand dekha?
Haan.
Kya dikha?
Utna safed nahin hai.
Aur?
Kuchh peela sa pada hai chaand.
Beemaar lagta hai.
Raat ka sooraj bann-ne ki chaah mein
lagta hai
thakk gaya hai bechaara.
Competition bahut hai duniya mein.
Aur har imtihaan ke saath
kho deta hai woh
safed chandni ka saath.

Aaj chaand dekha?
---------------------------------------
-Prateek
12/11/2011

Clay and the Sun


Geeli chikni mitti
lekar apne saath
kai mausam kee barsaat
kuchh mayoos si hai.
"Kab de paoongi main
bachchon ke in khilaunon ko
babuji ki chai ke kulhadd ko
Neema bitiya ki kamar se
lage hue matkey ko aakar?
Kab?"

Mayoos mitti ki udaasi
shayad sooraj dekh raha thaa.
Thoda muskura ke
apna prachand roop dhaaran karke
sokh leta hai
saari narmi
uss geeli mitti se.
"Ab yeh bhi aaram se sahegi
iss duniya ke saare zulm."

Bachche ke haath mein khilauna bankar
aa gayi hai mitti ko ab akad.
Kho dee hai saari narmi
kho dee hai woh maasoomiyatt.
"Maine aisa toh nahin banaana chaaha tha isey..."
sooraj ne socha.

Tabhi hawaa hanske boli
"Dekh sooraj
kaisi utaarti hoom main iski akad"
Aur aisi tez aandhi aayi
chhoot gayi bachche ki
khilaune pe pakad.

Sooraj aur hawaa
dono hee hans rahe hain
zameen per pade unn tukdon per
jo kabhi lekar chalti thee apne saath
kai mausam ki barsaat.
----------------------------------------
-Prateek
11/11/2011

Tuesday 8 November 2011

Bhookh (भूख)



"Mom!
I'm hungry!"
"I don't have anything in the car
but this apple.
Here, have it."
"Apple!?"
Munh banaate hue bachche ne kaha.
"I want a burger mommy!"
"Eat this first.
Momma will get you a burger,
later."
Aur bachche ne iss beech
phenk diya "apple"
chalti car ki khidki se.
"Who the hell wants to eat apples?"

"Ma.
Bhookh lagi hai."
"Aaj jhopdi mein kuchh bhi nahin hai
siwaay kal ki iss baajre ki roti ke.
Yeh le, kha le."
"Baajre ki roti?!"
Mayoos si soorat banaate hue bachche ne kaha.
"Mujhe seb khaana hai ma."
"Pehle ye kha beta.
Ye khaayega, toh bada hoyega.
Bada hoyega, toh khoob saare seb khareedega.
Aur mujhe bhi khilaayega.
Khilaayega na mera laadla?"
Aur bachche ne
baasi roti ka ek tukda khaate hue
apna sir hilaaya.
"Apni kismet mein seb kab aayenge?"
-----------------------------------------------
-Prateek
8/11/2011


Monday 7 November 2011

The Scientist



Har subah
naye sooraj ki pehli kiran
kisi na kisi tarah
khoj hee nikaalti thee
uskey ghar ka raasta.
Phir chaahe neend
raasta hee kyun na bhatak jaaye
ya ho jaaye ojhal
uski bojhil
lekin khoobsurat aankhon se.

"Dhoond hee liya na raasta,
mujhe phir se kamzor karne ke liye?"

Lekin
aaj kuchh alag sa lagta hai.
Aaj iss nayi roshni mein lagta hai
shayad, mil hee jayega
ek naya ilaaj
unn logon ke dil ka
jo sirf jeete hain
dhokha khaane ke liye.
---------------------------------
-Prateek
7/11/2011


Loosely based on lyrics by Brandon Wronski, for Dead Letter Diaries



Saturday 5 November 2011

Safar (सफ़र)


Unhe lagta hai 
banjaara dil hai mera. 
Ramta jogi besahaara.
Kahin rukta nahin. 
Kisi ka ho sakta nahin. 


Kabhi haath pakadkar
kheencha hai apni taraf?
Kee hai rokne ki koshish?
Kabhi poochha
akelapann tumhein kaat-ta toh nahin?


Woh kya jaanein
ek "matt jao" sunn-ne ko 
beqaraar hai dil.
Tab tak
safar jaari hai.
-------------------------------------
-Prateek
5/11/2010



Friday 4 November 2011

Bojh (बोझ)


*tring tring*
*tring tring*
"Hello."
"Heya! Hi Priya!"
"Hmmm. Bolo."

Dono ko pata thaa
koi faayda nahin.
Paanch saal ho chuke hain iss rishtey ko.
Pichhle do saalon se
rishta jiya kam
dhoya (ढोया) jyada hai.

Aisa nahin thaa
ki koi ladaai hui thee.
Bus pyaar kahaan kho gaya
dono hee iss se anjaan hain.
Ek doosre ko ghanton nihaarne waale
aaj ek doosre se pareshaan hain.

"Koi faayda nahin.
Iss bojh se toh achha hai
khatm hee kyun na kardein?"
Roz dono sochte hain.
"Aaj toh decision lena hee hoga."

"Par usko kaaran kya bataaunga?"
"Par usko kaaran kya bataaungi?"
Aur ek din aur
tayyar hote hain dono
iss adhmare rishtey ka bojh dhone.
----------------------------------
-Prateek
4/11/2010

Thursday 3 November 2011

The Angels Are Falling


Uss raat
har raat ki tarah
chhatt pe tehelte hue
dekh raha hoon
anginatt taaron ki khoobsurat mehfil ko.

Achha lagta hai
taaron ka woh sangeet sunn-na
jise duniya ne kahin bhula sa diya hai.
Har toot-ta taara
jaise koi alag hee taan le raha hai.

Aur unn toot-te taaron ke beech
kahin se koi pari aa giri.
Uske safed kapde, safed nahin.
Uske pankho mein koi aisi jagah nahin
jahaan koi chhed nahin.
Behaal si, machhli ki tarah tadapti si
woh ektak mujhe ghoorti hai.
Aur aankh bandd karke kehti hai
"Yeh duniya kam thee kya,
jo wahaan par bhi tumne apne lutere bhej diye?"
-------------------------------
-Prateek
3/11/2011

Wednesday 2 November 2011

Izzhaar


Uss din
kuchh jyada hee garmi lag rahi thee.
Samandar ki reth bhi
zoron se bhabhak rahi thee.
Sardi ke mausam mein bhi
maathe pe paseena thaa.
Shayad kyunki tumse aaj
dil ki jo baat kehni thee.

Saamne tum khadi thee.
Kaanon mein mujhe
mere dil ki aawaaz
sunaai de rahi thee.
Samandar ki kal kal bhi
iss sannate ko cheer nahin paayi.
Badi mushkil se aaj
izzhaar karne ki himmatt jutaai.

"Aaj mausam achha hai na?"
Ghar pe sab theek?
Coffee peene chalogi?"

Shayad, aaj sahi din nahin hai.
------------------------------------
-Prateek
2/11/2011

Tuesday 1 November 2011

A Lot Happens Over Coffee


Milee thee woh
akeli
coffee ke badey se cup ke saath.
Jagah dhoond rahi thee
baithne ke liye
ek bekaar coffee ki mehengi dukaan mein.

Uljhe hue
anginatt naqaabon ke beech
suljha hua uska chehra
kuchh asli sa dikhaai deta thaa.

Main bhi waheen thaa
akela
coffee ke badey se cup ke saath
Saathi dhoond raha thaa
apne paas bithaane ke liye
uss bekaar coffee ki mehengi dukaan mein.

Jaan padta hai
sirf main akela nahin thaa.
Aur bhi akele hain iss bheed mein
Dhoond rahe hain koi saathi
apna akelapann bantne ke liye.

"Excuse me.
Kya aapke saath koi baitha hai?"
Aur wahin se shuru hoti hai
ek nayi kahaani
uss bekaar coffee ki mehengi dukaan mein.

---------------------------------------------
-Prateek
1/11/2011

Monday 31 October 2011

Bhayankar Pyaar Ka Khatarnaak Izhaar


Well, while cleaning out my closet (literally) last night, I stumbled upon this unfinished letter.
It was supposed to be a love letter that I wrote some 6 years back to a certain "Sapnon ki Rani".
Glad, I din't end up delivering this letter to her. Here it goes. Read. But promise, you won't kill me.

Dil ye chaahe
tujhko itna
pyaar doonga.
Thoda kam pade toh
jaan de doonga.

Meri har khushi mein
naam tera hai likhaa.
Tu hee mera din hai
tu hee hai nisha.

Raaton ki neendein
din ka yeh chain
naam tere doonga.

Thoda kam pade toh
jaan de doonga.

Cheesy? Yes. Too much. You can laugh now :D
---------------------------------------------------
Prateek
31/10/2011



Sunday 30 October 2011

Intezaar

Presenting, blog's first poem arising out of tweets.
Featuring Abhinav (@abhiandnow), Anushree (@anushreekejriwa) and me (@Scotchaholic)


Abhinav
Karenge baatein khoob 
ek cup chai ke saath. 
Khulenge raaz saare
do biskut ke saath. 
Par kabhie
miliye toh sahi....


Prateek
Milne ki chaah mein
chai kab thandi ho gayi
pataa na chalaa. 
Baatein karne ki chaah mein
raatein khatm ho gayin
pataa na chalaa.


Abhinav
Phir khulenge kisse
kisi din aur kabhie
unn puraani Champak ki tarah.
Dekhenge wohi puraani photo albums
Mowgli ki VHS ki tarah.


Prateek
Uss puraani Champak ke 
pannon ke beech 
ek sookha gulaab mila. 
Usi gulaab se aaj 
apne aansoon ponchh lenge
uske intezaar mein.


Abhinav
Uske? 
Wohi, jo roz do ladkon ko 
moorkh banaake aati thee? 
Yaad hai 
ek baar tumse pencil maangi thee. 
Aur tumne 
jo ek hee thee tumhaare paas 
woh hi de daali thee.


Prateek
Haan!
Uss din teacher se
badi daant padi thee.
Pataa thaa. 
Bewafaa niklegi. 
Pehle pencil
phir samay
aur phir dil bhi de diya. 
Aaj aansoo bhi de denge 
uss harjai ko.


Abhinav
Aur uski yaadon mein 
tum uski desk partner ko 
kabhie dekh hi na paaye.
Aur woh bechaari hamesha 
tumhein hee nihaarti rahi.


Prateek
Bade saalon ke baad
aaj tumne jo uski yaad dilaayi hai. 
Phone lagaya thaa uske ghar. 
Kehte hain
khush hai woh
apne sasuraal mein.


Abhinav
Par uss khushi ke peechhe 
unn namm aankhon ko bhi dekh lena
Aaj bhi tum hee chhupe ho wahin kahin 
uske dil ke bandd baksey mein.


Anushree
Uski yaadon mein 
itna khoye rahoge 
toh asliyat se naata chhoot jayega.
Ankhein kholo
duniya dekho 
aur jee bhar jiyo.


-----------------------------------------
Thanks a lot Abhinav, Anushree
- Prateek
30/10/2011

Saturday 29 October 2011

Kahaani Jaani Pehchaani Si Hai (Part 2)

(Concluding part. Please refer to the previous poem)

....Samjhaya thaa kai baar
gar hai saccha pyaar
toh seekhle karna
apne partner pe
aetbaar.

Magar nahin.
Baat dimaag mein kahaan jaane waali thee.
Akal toh saari
gym mein utaar li
janaab ne.
Body jo banaani thee.

Bola
"Sahi keh raha hai bro.
Aetbaar uspe hai
khud pe lekin
bharosa nahin.
Darrta hoon
koi kami naa reh jaaye
khud ke pyaar mein.
Darrta hoon
Koi aur na karde poori
uss ek kami ko.
Shaq uspe nahin
khud per hai."

Kehkar
chup karaa deta thaa
hamesha.
Aur hamesha ki tarah
bhaag raha hai
Priya ko manaane ke liye.

Usi pal
jeb se apni
photo nikaala maine
apni "Priya" ka.
Kuchh saal pehle
main bhi
ek "Rahul" hee toh thaa.

Aankh ke kone se nikalta hua
ek aansoo ponchha
aur socha
aaj tehelte tehelte
kaafi shaam ho gayi hai.
Akela ghar
intezaar karta hoga.

Akela ghar
intezaar karta hoga.

--------------------------------

Prateek
29/10/2011

Friday 28 October 2011

Kahaani Jaani Pehchaani Si Hai (Part 1)


Shaam ko
pass ke hee ek Joggers' Park mein
akele tahalte hue
ek ladki per nazar padi.

Zaroorat se kuchh zyada hee tez chal rahi hai.
Shayad pyaas lagi hogi.
Nahin.
Kuchh aur hee baat hai.

Thoda paas aayi.
Gusse mein hai.
Maa se jhagdaa kiya hoga.
"Itni chhoti knicker kyun pehni hai?"
"Ye ganjee itni tangg kyun hai?"
"Jogging karne jaa rahi hai ya ladka pataane?"
vageraah, vageraah.

Toh khair
gusse se bhunbhunaate hue
angrezi ke kuchh apshabd badbadaate hue
woh paas se guzar jaati hai.

Kya naam thaa uska?
"Priya!"
Haan. Priya.
Peechhe se ek aawaaz aayi.
Jaani pehchaani si hai.
Arey
yeh toh apna Rahul hai.
Bhaag kyun raha hai?

Achha! Priya.
Shayad uss din
isee ladki ki baat kar raha thaa.
Jhagda kiya hoga
phir se.
Aadat hai uski.
Kisi aur ladke ke saath
muskura diya hoga ladki ne.
Aur inn janaab ke
lag gayi hogi aag.
Banaa liya hoga chhota sa munh
roothi hui koi ladki ki tarah.....

(...To be continued)
--------------------------------------
Prateek
28/10/2011



Thursday 27 October 2011

Jealousy


Kis kis ke saath
baantoo main tumhein
Har tukde ke saath
adhoora hota hai
yeh dil.

Ab chaahe kaho isey
bekaar ki "possessiveness"
Ya kaho isey
adhikaar jataana.

Lekin
kisi aur ke saath
muskuraata dekh tumhein
jal uthtaa hai
yeh dil.

---------------------------

Prateek
27/10/2011

Wednesday 26 October 2011

Khush Hai Woh


Videsh se call aaya thaa.
Bulaaya thaa
saal bhar ke liye.
Jaana padega
sab kuchh chhodkar.
Bus, usey bataaye nahin banta thaa.

Kehti thee
chandd pal ke liye
aankho se jab ojhal ho jaate ho
dil ghabra sa jaata hai.
Ab tum hee bataao
tumhaare bina saal bhar
kaise rahoongi?

Maine kahaa
pagli hai kya?
Aansoo ponchh
aur muskura.
Jaanta hoon
khush rahegi.

Aaj dekhta hoon
khush hai woh
apne naye yaar ke saath.
Abhi teesra hee mahina hai.

------------------------------

Prateek
26/10/2011

Tuesday 25 October 2011

Chhalaava (छलावा)

Aaj ki raat
sirf tum ho
aur main hoon
aur hai ye aseem samandar
uss mehengi sharaab ka
jo sirf apna pyaar hee khareed sakta hai.

Aaj pyaar hai
mohabbat hai, nasha hai.
Zindagi jeene ka bhi toh yahi mazaa hai.
Toh doob jaane do.

Lekin
zara ruko.
Inn udte ghodon ko lagaam do.
Bakwaas hai yeh pyaar vyaar.
Sharaab ke nashe mein
romance romance nahin
kewal chhalaava hota hai.

----------------------------------
(Loosely based on lyrics by Brian Tasch, Boy Armageddon)



Prateek
25/10/2011

Monday 24 October 2011

Badi Ho Gayi Hogi....

Badi ho gayi hogi...
Aakhri baar dekha thaa. 
School ki tunic mein, ek khilkhilaata chehra. 
Kandhe per basta taange, chal rahi thee, lekar dimaag mein kai sawaal. 
Shayad revision kar rahi thee. 
Exam ka aakhri din jo tha. 


Badi ho gayi hogi...
Miloonga, toh pehchaanunga kaise?
Milegi, toh pehchaanegi kaise? 
Milenge? 
Shayad aaj nahin.
Milenge. 
Shayad, phir kabhi.


-------------------------
Prateek

24/10/2011